Tuesday, March 8, 2016


...Yaad hai baarishon ke din the woh, aur pahaadi ke neeche waadi mein dhundh se jhaank kar nikalti hui rail kee patariyaan guzarti thee. 
Aur dhundh mein aise lag rahe the ham, jaise do paudhe paas baithe hon. 
Ham bahut der patariyon par baithe us musaafir ka zikra karte rahe, jisko aana tha pichhli shab, par uskee aamad ka waqt talta raha... 
hum bahut der patriyon pe baithe hue train ka intazaar karte rahe. 
Train aayee na uska waqt hua, aur tum yun hee do qadam chalkar dhundh par paaon rakhke gum ho gaye……

....remembering old times, old poets....